yaadein lyrics english video 4

Wo gaon ki galiyan yaad aatin hain
Ghar ki chaukhat roj bulati hain
Hain itni majburiya ki apno se dur hain
Warna ye paon toa ghar hi jaana chahti hain

Wo maa ka thapki dekar sulana yaad aata hai
Unka pyaar se betu bulana yaad aata hai
Pichhe pichhe bhaag kar wo khana khilati thi
Uska pyaar se kaan aithna yaad aata hai
Uska pyaar se kaan aithna yaad aata hai

Wo papa ka cycle sikhana, 
shaam mei bazaar ghumana yaad aata hai
School jate waqt paise thama dena
Pyaar se gaal dabana yaad aata hai
Pyaar se gaal dabana yaad aata hai

Wo bhaiya ke saath khelna
Uske kadmon ke nishan ke pichhe chalna
Kai kai dino tak baatein nahin karna
Wo ruthna manana yaad aata hai
Ruthna manana yaad aata hai

Wo doston ke saath ghumna
Chai ke saath baatein khurana
Jis chaurahe pe hum bichhad gaye the
Wo chauraha purana yaad aata hai
Wo chauraha purana yaad aata hai

Iss dhul bhare sehar mein
Ghar ka har phul patta yaad aata hai
Nikal aaye itne durr ke har raah pe
Ghar ka pata yaad aata hai
Sapno ke sehar mein apne chhut gaye
Nikle the kahin aur kahin pahunch gaye
Manzilon ke safar mein
Har khoya hua raasta yaad aata hai
Har raaste pe bhatakna yaad aata hai

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27