Posts

Showing posts from April, 2009

O re baawre mann

o re baawre mann, mat chah aise ke khud ko bhul jaye, aankho ki nami bacha kar rakh, wo aayenge milne, gm ke aanshoon ko khushi mein badal kar barsana, khush honge wo aise dekhkar, likhe hain jitne nagme unhe sanjo kar rakh, wo aayenge milne, apni rudali ko sunnana banakar tarane, wo khush honge unhe sunkar, jo phool chune hain unhe sukhne de, wo aayenge milne, har phool har din ke ibadat ka tha, wo samjh jayenge dekh kar, o re baare mann, mat chah aise ki khud ko bhul jaye. 

mere sapno ke nagri...

mere sapno ke nagri ke shilpkaar se milwa do, jisne likhi hai meri patkatha, uss racheta se milwa do, aankho mein itne taare kyun hain chamchamate, itne nahin chahiye bas ek chand hie dila do, bahut rang hain chhut gaye, uss kalakaar ko koi toa bata do, itni bejaan aawazein jo nikalti hain, unhe koi ragini toa bana do, jitni dharkane utni hain hasratein, mere sapno ke sansaar mein, kam se kam ek diya toa jala do, phansa hoon har majhdhar mein, mujhe mere manjhi se milwa do, raat mein akele darr jata hoon, thik se so bhi nahin pata hoon, mujhe meri maa se milwa do, mere sapno ke nagri ke shilpkaar se milwa do.

badi mushkil se

badi mushkil  se ye dil......... phir lagaya, badi koshish ki toa,  tere paas aaya, aas phirse jagi iss dil mein hai, jo tune pyaar se, mujhe bulaya........ toota toa ye dil, pehle se hie hai, bas abhi tak ye, bikhra nahin hai, bujhe-bujhe se hum yunhi jalte hain, aapke saath baitha toa, phir jagmagaya............ honsh ki kya fikr karein hum, tere pyaar ke nashe mein dekhkar, saara zamana aaj, mehkhane mein nazar aaya....... dooba rahoon yunhi, teri nigahoan mein, aaj iss bekhudi ko dekh kar, meri saanso ne bhi, aitraaz hai farmaya.......... baithe rahoon yunhi, ki main dekhta hie rahoon, honsh aise hain gum, ki aaj maut ne bhi....... dhokha hai khaya.. badi mushkil se ye dil, phir lagaya

ek taraf tera ghar hai

ek taraf tera ghar hai, ek taraf bhagwan ka ghar, dono hie sunnte nahin, aakhir jaun main kiske ghar, tune patthar pheka, toa kya main bhi patthar phekun, abb toa aisi aadat hai padi, har patthar pe lagta hai mera sar, ek taraf tera ghar hai, ek taraf bhagwan ka ghar. aakhir udega kaise, kisi kaam ke nahin hote murgo ke par, kitna pharpharayega woh, aakhir katna hai uska dhar, dil hai tera halal ka, lo phir jhuka hai tere saamne mera sar, ek taraf tera ghar hai, ek taraf bhagwan ka ghar. abb toa toot chuka hai mera sabr, lo khud khod ke rakh rakha hai apna kabr, mere jane ke baad mere doston, tum manana mera parv, yaad ban hamesha aata rahunga, pagal kabhi marta nahin hota hai woh amar, ek taraf tera ghar hai, ek taraf bhagwan ka ghar dono hie sunnte nahin hain, aakhir jaun main kiske ghar.

tere jate hie...

tere jate hie, hitchkiyon ka daur shuru ho gaya, yaadon ka kafila kahin badh gaya, tere jate hie, hitchkiyon ka daur shru ho gaya, saanse dhimi ho gayin, raftar waqt ka kam ho gaya, tere jate hie, hitchkiyon ka daur shuru ho gaya, shaam jaise dhalti nahin, taaro ke tootne ka silsila badh gaya, ter jate hie,  hitchkiyon ka daur shuru ho gaya, mere chand ka katora kahin, ghane badlo ke pichhe kho gaya, tere jate hie,  hitchkiyon ka daur shuru ho gaya, abb subah uthata nahin, ghanta mandir ka chup ho gaya, ter jate hie, hitchkiyon ka daur shuru ho gaya..........

pagalpan ki shaan

hamare pagalpan ki shaan dekh kar, abb saara jamana pagal ho raha hai, hum toa nikle the akele, abb paglo ka kafila badhta ja raha hai, main bhi pagal, arey  tu bhi pagal, paglo ka thahaka gunjta ja raha hai, hamare pagalpan ki shaan dekh kar, abb saara jamana pagal ho raha hai. aaj ek pagal chal basa hai, toa dekho kaise naach rahein hain, chhuta jamane se pagal ka pichha, toa mithaiyan baant rahein hain, hans rahein hain humein dekh kar log, hum aaina samajh kar hans rahein hain, hamare pagalpan ki shaan dekhkar, abb saara jamana pagal ho raha hai. har akhbar mein khabar chhapi hai, pagalo ke naam ka warrant nikla ja raha hai, marne lagin hain yuwatiyan, har pagal mein unko, unka aashiq nazar aa raha hai, hamare pagalpan ki shaan dekh kar,  saara jamana pagal ho raha hai. neeta ji aa rahein hain, paglo se milne, unko bhi abb hummein, apna vote bank nazar aa raha hai, paglo ka alag dharam bana do, har pheke hue patthar mein, unhe apna bhagwan nazar aa raha hai, hamare pagalpan ki shaa

ghar ka pata de do

apne ghar ka pata de do, aapko dekhne aana hai, mizaz durust nahin rehata, thik hone ke liye-bas..... ek jhalak hie toa pana hai . kehte hai sabhi, ki mere chehre pe ab ronak nahin dikhti, koi marz nahin mil raha hai, hamari dawa toa bas....... aapka muskurana hai. koi khali kagaz hie sahi, hamari taraf uchhal dena, aapki khamoshi jitni hai gehri, usse zyaada likhne ko... mera afsana hai. apne ghar ka pata de do, aapko dekhne aana hai.

zindagi ko dekha ज़िन्दगी को देखा

Image
aaj maine zindagi ko dekha, bade hie gaur se dekha, subah se shaam, shaam se subah talak dekha, paya bahot.... khoya thoda sa, uss khoye hue ko pane ke liye, aaj maine zindagi ko dekha, bade hie gaur se dekha......... toota toa bas ek sapna tha, usko pane ke liye,  ek aur sapna dekha, neend nahin aa rahi thi,  phirbhi so raha tha, Khwabon ko neend mein piron raha tha, aaj maine zindagi ko dekha, bade hie gaur se dekha.............. nigahein naa jane kahan kahan ja rahin thi, har manjar mein har koi aapna dikha, puchha unse toa har baar ek naaya raasta dikha, aaj maine zindagi ko dekha , bade hie gaur se dekha. आज मैंने ज़िन्दगी को देखा बड़े ही गौर से देखा सुबह से शाम शाम से सुबह तलक देखा पाया बहुत खोया थोड़ा सा उस खोये हुए को पाने के लिए आज मैंने ज़िन्दगी को देखा बड़े ही गौर से देखा टूटा हुआ तो बस एक सपना था उसको पाने के लिए एक और सपना देखा नींद नहीं आ रही थी फिरभी सो रहा था ख्वाबों को कच्ची नींद में पिरो रहा था आज मैंने ज़िन्दगी को देखा  बड़े ही गौर से देखा निगाहें ना जाने क्या त

saanso ki tarah

Image
Banjar zameen par baarish ki tarah ho tum, roje mein namaaj ki tarah ho tum, yaad kiya.......... naa kiya............ kyun puchhte ho, hamari zindagi mein toa, saansoo ki tarah ho tum............