rishte

Haan tuta hua pada tha wo ghar ke ek kone mein bahut dino se, 
koi uspe dyaan bhi nahin deta yunhi pada hua tha wo mahino se,
Family members aate jaate ghumte phirte rehte uske charo traf hie
Lekin koi bhi haal tak nahin  puchhta tha usse,
Aadat jo ho gayi thi sabhi ko unhi jo rehne ki,
Sab busy chal rahe the apni apni zindagi mein,
Kisi ko koi parwah nahin aakhir zindagi toa chal hi rahi thi,
Haan zindagi kisi ke liye rukti nahin bas chalti rehti hai
Kabhi khamosh toa kabhi chinkhti hui daaurti bhagti rehti hai
Shehar mein, shehar ki galiyon mein
Unn makaano mein
Jahan tute pade milte hain kisi kone mein
Khamosh gumsum darre hue se rishte. (2)

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27