mere sapno ke nagri...

mere sapno ke nagri ke shilpkaar se milwa do,
jisne likhi hai meri patkatha,
uss racheta se milwa do,
aankho mein itne taare kyun hain chamchamate,
itne nahin chahiye bas ek chand hie dila do,
bahut rang hain chhut gaye,
uss kalakaar ko koi toa bata do,
itni bejaan aawazein jo nikalti hain,
unhe koi ragini toa bana do,
jitni dharkane utni hain hasratein,
mere sapno ke sansaar mein,
kam se kam ek diya toa jala do,
phansa hoon har majhdhar mein,
mujhe mere manjhi se milwa do,
raat mein akele darr jata hoon,
thik se so bhi nahin pata hoon,
mujhe meri maa se milwa do,
mere sapno ke nagri ke shilpkaar se milwa do.

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27