ek taraf tera ghar hai

ek taraf tera ghar hai,
ek taraf bhagwan ka ghar,
dono hie sunnte nahin,
aakhir jaun main kiske ghar,
tune patthar pheka,
toa kya main bhi patthar phekun,
abb toa aisi aadat hai padi,
har patthar pe lagta hai mera sar,
ek taraf tera ghar hai,
ek taraf bhagwan ka ghar.
aakhir udega kaise,
kisi kaam ke nahin hote murgo ke par,
kitna pharpharayega woh,
aakhir katna hai uska dhar,
dil hai tera halal ka,
lo phir jhuka hai tere saamne mera sar,
ek taraf tera ghar hai,
ek taraf bhagwan ka ghar.
abb toa toot chuka hai mera sabr,
lo khud khod ke rakh rakha hai apna kabr,
mere jane ke baad mere doston,
tum manana mera parv,
yaad ban hamesha aata rahunga,
pagal kabhi marta nahin hota hai woh amar,
ek taraf tera ghar hai,
ek taraf bhagwan ka ghar
dono hie sunnte nahin hain,
aakhir jaun main kiske ghar.

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27