badi mushkil se

badi mushkil se ye dil.........
phir lagaya,
badi koshish ki toa, 
tere paas aaya,
aas phirse jagi iss dil mein hai,
jo tune pyaar se,
mujhe bulaya........
toota toa ye dil,
pehle se hie hai,
bas abhi tak ye,
bikhra nahin hai,
bujhe-bujhe se hum yunhi jalte hain,
aapke saath baitha toa,
phir jagmagaya............
honsh ki kya fikr karein hum,
tere pyaar ke nashe mein dekhkar,
saara zamana aaj,
mehkhane mein nazar aaya.......
dooba rahoon yunhi,
teri nigahoan mein,
aaj iss bekhudi ko dekh kar,
meri saanso ne bhi,
aitraaz hai farmaya..........
baithe rahoon yunhi,
ki main dekhta hie rahoon,
honsh aise hain gum,
ki aaj maut ne bhi.......
dhokha hai khaya..
badi mushkil se ye dil,
phir lagaya

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27