AAM book34

aam ke ped ke neeche khade ho kar,
main aam ko dekh raha tha,
bahut der se patthar fek kar,
girane ki koshisk kar raha tha,
par ek bhi aam mil naa paya,
kai dino se main uss aam ki chah mein,
roz aata aur torne ki koshish karta,
lekin kuchh bhi haanth naa lag paya,
ek din gira mere haanth mein,
khud toot kar... jo sabse achha tha,
baat isme nahin ki jo mila,
woh sabse achha tha,
baat isme hai ki jo mila,
 wahi toa apna tha.
आम के पेड़ के नीचे खड़े हो कर
में आम को देख रहा था,
बहुत देर से पत्थर फेक कर
गिरने की कोशिश कर रहा था,
पर एक भी आम मिल ना पाया,
कई दीनी से मैं उस आम की चाह में
रोज़ आता और तोड़ने की कोशिश करता,
लेकिन कुछ भी हाँथ ना लग पाया,
एक दिन गिरा मेरे हाँथ मैं
खुद टूट कर जो सबसे अच्छा था,
बात इसमें नहीं कि जो मिला
वो सबसे अच्छा था,
बात इसमें है कि जो मिला
वही तो अपना था।।

Comments

Popular posts from this blog

कच्ची मिट्टी

असभ्यता की लकीरें book26

Main girunga Phir uthunga book27