hamare pagalpan ki shaan dekh kar, abb saara jamana pagal ho raha hai, hum toa nikle the akele, abb paglo ka kafila badhta ja raha hai, main bhi pagal, arey tu bhi pagal, paglo ka thahaka gunjta ja raha hai, hamare pagalpan ki shaan dekh kar, abb saara jamana pagal ho raha hai. aaj ek pagal chal basa hai, toa dekho kaise naach rahein hain, chhuta jamane se pagal ka pichha, toa mithaiyan baant rahein hain, hans rahein hain humein dekh kar log, hum aaina samajh kar hans rahein hain, hamare pagalpan ki shaan dekhkar, abb saara jamana pagal ho raha hai. har akhbar mein khabar chhapi hai, pagalo ke naam ka warrant nikla ja raha hai, marne lagin hain yuwatiyan, har pagal mein unko, unka aashiq nazar aa raha hai, hamare pagalpan ki shaan dekh kar, saara jamana pagal ho raha hai. neeta ji aa rahein hain, paglo se milne, unko bhi abb hummein, apna vote bank nazar aa raha hai, paglo ka alag dharam bana do, har pheke hue patthar mein, unhe apna bhagwan nazar aa raha hai, hamare pagalpan ki shaa...